na puchh girya-e-KHun ka tere hai kya bais
na pūchh ''girya-e-ḳhūñ kā tire hai kyā bā.is''
sabab to aur nahīñ kuchh magar tirā baa.is
agarche shaiḳh hai piinā sharāb fel-e-shanī.a
pa kyā karūñ ki ka.ī din se thī huā baa.is
do-chand girya kī tabrīd se huī tab ishq
ziyādtī kā maraz kī hai yaañ davā baa.is
na jurm us kā hai sābit na kuchh mirī taqsīr
ḳhudā hī jaane ki ranjish kā kyā huā baa.is
rahā maiñ us se girafta ik umr tak lekin
kiyā jo ḳhuub ta.ammul to kuchh na thā baa.is
tarah us aab kī jo pairne se ho dirham
hue haiñ mere tashattut ke āshnā baa.is
kabhū khilā na dam-e-sard se ye dil 'qā.em'
agarche khilne kā ġhuncha ke hai sabā baa.is
na puchh girya-e-KHun ka tere hai kya bais
sabab to aur nahin kuchh magar tera bais
agarche shaiKH hai pina sharab fel-e-shania
pa kya karun ki kai din se thi hua bais
do-chand girya ki tabrid se hui tab ishq
ziyaadti ka maraz ki hai yan dawa bais
na jurm us ka hai sabit na kuchh meri taqsir
KHuda hi jaane ki ranjish ka kya hua bais
raha main us se girafta ek umr tak lekin
kiya jo KHub tammul to kuchh na tha bais
tarah us aab ki jo pairne se ho dirham
hue hain mere tashattut ke aashna bais
kabhu khila na dam-e-sard se ye dil 'qaem'
agarche khilne ka ghuncha ke hai saba bais
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.