na puchh hijr mein jo kuchh hua hamara haal
na pūchh hijr meñ jo kuchh huā hamārā haal
jise na ishq ho vo jaane kyā hamārā haal
yaqīn hai ki kaheñge vo ham-safīroñ se
qafas meñ dekh ga.ī hai sabā hamārā haal
ajab hai is kā jo ab tak nahīñ sunā us ne
fasāna-e-sar-e-bāzār thā hamārā haal
gilā yahī hameñ qāsid se hai ki us gul ko
na ḳhat diyā na zabānī kahā hamārā haal
kabhī to ġhash pe ġhash aa.e kabhī lagī hichkī
tire firāq meñ kyā kyā huā hamārā haal
kahāñ talak na hayā degī ruḳhsat-e-guftār
kabhī to pūchhegā vo mah-laqā hamārā haal
na puchh hijr mein jo kuchh hua hamara haal
jise na ishq ho wo jaane kya hamara haal
yaqin hai ki kahenge wo ham-safiron se
qafas mein dekh gai hai saba hamara haal
ajab hai is ka jo ab tak nahin suna us ne
fasana-e-sar-e-bazar tha hamara haal
gila yahi hamein qasid se hai ki us gul ko
na KHat diya na zabani kaha hamara haal
kabhi to ghash pe ghash aae kabhi lagi hichki
tere firaq mein kya kya hua hamara haal
kahan talak na haya degi ruKHsat-e-guftar
kabhi to puchhega wo mah-laqa hamara haal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.