na puchh kaise ganwai hain ungliyan humne
na pūchh kaise gañvā.ī haiñ uñgliyāñ ham ne
ik aa.ine kī baTorī haiñ kirchiyāñ ham ne
hamārī tishna-labī kyā miTā.egā dariyā
samundaroñ kī uḌā dī haiñ dhajjiyāñ ham ne
khanaktī aa ga.iiñ kis tarah raat bistar par
chhupā ke dil meñ rakhī thiiñ ye chūḌiyāñ ham ne
is aa.ine meñ na ubhregā ab koī chehra
tumhāre ghar kī bujhā dī haiñ battiyāñ ham ne
bichhā ke dil ke ta'alluq pe barf kī chādar
na.e lihāf se kaaTī haiñ sardiyāñ ham ne
sabhī se haath milā.e gale sabhī se mile
sazā.eñ do ki bahut kī haiñ ġhalatiyāñ ham ne
ujāle māñgne sūraj se kaun jaa.e 'fahīm'
kisī ke paañv pe rakkhīñ na pagḌiyāñ ham ne
na puchh kaise ganwai hain ungliyan hum ne
ek aaine ki baTori hain kirchiyan hum ne
hamari tishna-labi kya miTaega dariya
samundaron ki uDa di hain dhajjiyan hum ne
khanakti aa gain kis tarah raat bistar par
chhupa ke dil mein rakhi thin ye chuDiyan hum ne
is aaine mein na ubhrega ab koi chehra
tumhaare ghar ki bujha di hain battiyan hum ne
bichha ke dil ke ta'alluq pe barf ki chadar
nae lihaf se kaTi hain sardiyan hum ne
sabhi se hath milae gale sabhi se mile
sazaen do ki bahut ki hain ghalatiyan hum ne
ujale mangne suraj se kaun jae 'fahim'
kisi ke panw pe rakkhin na pagDiyan hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.