na puchh martabe hum jaise la-makanon ke
na puchh martabe hum jaise la-makanon ke
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
na pūchh martabe ham jaise lā-makānoñ ke
atā hue haiñ safar ham ko āsmānoñ ke
gumāñ nahīñ thā magar phir bhī fāqa-mastoñ ne
badan sañvār diye haiñ ka.ī chaTānoñ ke
ye kis maqām pe le aa.ī muflisī ham ko
mizāj haath nahīñ aate mehrbānoñ ke
kahā ye dekh ke saaqī ne kaif sāhab ko
imaam aate haiñ yaaro sharāb-ḳhānoñ ke
vahī makān the sho.aloñ kī zad pe ai 'rāhī'
paḌos vaale muhāfiz the jin makānoñ ke
na puchh martabe hum jaise la-makanon ke
ata hue hain safar hum ko aasmanon ke
guman nahin tha magar phir bhi faqa-maston ne
badan sanwar diye hain kai chaTanon ke
ye kis maqam pe le aai muflisi hum ko
mizaj hath nahin aate mehrbanon ke
kaha ye dekh ke saqi ne kaif sahab ko
imam aate hain yaro sharab-KHanon ke
wahi makan the shoalon ki zad pe ai 'rahi'
paDos wale muhafiz the jin makanon ke
- Book : سائبان غزل (Pg. 57)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.