Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na puchh usne hai kya kuchh kaha mohabbat ko

Haseebul Hasan

na puchh usne hai kya kuchh kaha mohabbat ko

Haseebul Hasan

MORE BYHaseebul Hasan

    na pūchh us ne hai kyā kuchh kahā mohabbat ko

    hamāre sāmne rusvā kiyā mohabbat ko

    hamāre paas duā māñgne vaqt nahīñ

    ab aap aasrā degā ḳhudā mohabbat ko

    mujh ko chhoḌ to phir is tarah se chhoḌ ki maiñ

    galī galī meñ phirūñ kostā mohabbat ko

    ham aise log zehnī marīz hote haiñ

    jo mānte haiñ baḌā aasrā mohabbat ko

    hamārī aañkh meñ utre haiñ saat rañg ke ḳhvāb

    hamārā haq hai ki ham deñ duā mohabbat ko

    tamām log use zindagī bulāte the

    kisī kisī ne kahā hādisa mohabbat ko

    tumhāre shahr meñ but the so kaam aa na sake

    daraḳht hote to dete havā mohabbat ko

    hamāre ba.ad koī sar-parast mil na sakā

    yatīm-ḳhāne meñ rakkhā gayā mohabbat ko

    'hasīb' us se yahī soch kar nahīñ milte

    kahāñ vo rakkhegā ġhurbat-zada mohabbat ko

    na puchh us ne hai kya kuchh kaha mohabbat ko

    hamare samne ruswa kiya mohabbat ko

    hamare pas dua mangne ka waqt nahin

    ab aap aasra dega KHuda mohabbat ko

    tu mujh ko chhoD to phir is tarah se chhoD ki main

    gali gali mein phirun kosta mohabbat ko

    hum aise log hi zehni mariz hote hain

    jo mante hain baDa aasra mohabbat ko

    hamari aankh mein utre hain sat rang ke KHwab

    hamara haq hai ki hum den dua mohabbat ko

    tamam log use zindagi bulate the

    kisi kisi ne kaha hadisa mohabbat ko

    tumhaare shahr mein but the so kaam aa na sake

    daraKHt hote to dete hawa mohabbat ko

    hamare baad koi sar-parast mil na saka

    yatim-KHane mein rakkha gaya mohabbat ko

    'hasib' us se yahi soch kar nahin milte

    kahan wo rakkhega ghurbat-zada mohabbat ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now