na puchho hae kis mushkil se Tala apne mehman ko
na puchho hae kis mushkil se Tala apne mehman ko
Taufeeq Hyderabadi
MORE BYTaufeeq Hyderabadi
na pūchho haa.e kis mushkil se Taalā apne mehmāñ ko
nikal kar aap se ham ne nikālā dil se armāñ ko
ġhazab kā rang laa.ī hai mirī vahshat kī betābi
ki saayā bhāgtā hai mujh se pahle hī bayābāñ ko
bahut achchhā huā ik shaġhl-e-fursat mil gayā zālim
tire shauq-e-taġhāful ko mire zauq-e-tan-āsāñ ko
jo Tapkā aañkh se merī to bas paañv se mal Daalā
samajhte haiñ hinā vo ḳhūn-e-hasrat-hā-e-pinhāñ ko
ḳhayāl-e-zulf ne 'taufīq' aisā silsila toḌā
pareshāñ kar diyā majmūa-e-ḳhvāb-e-pareshāñ ko
na puchho hae kis mushkil se Tala apne mehman ko
nikal kar aap se hum ne nikala dil se arman ko
ghazab ka rang lai hai meri wahshat ki betabi
ki saya bhagta hai mujh se pahle hi bayaban ko
bahut achchha hua ek shaghl-e-fursat mil gaya zalim
tere shauq-e-taghaful ko mere zauq-e-tan-asan ko
jo Tapka aankh se meri to bas panw se mal Dala
samajhte hain hina wo KHun-e-hasrat-ha-e-pinhan ko
KHayal-e-zulf ne 'taufiq' aisa silsila toDa
pareshan kar diya majmua-e-KHwab-e-pareshan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.