na puchho kaise guzri shab hamari hijr-e-jaanan mein
na puchho kaise guzri shab hamari hijr-e-jaanan mein
Meem Maroof Ashraf
MORE BYMeem Maroof Ashraf
na pūchho kaise guzrī shab hamārī hijr-e-jānāñ meñ
rahī hai dil ko shab-bhar be-qarārī hijr-e-jānāñ meñ
judā kuchh yuuñ huā thā vo ki ḳhushiyāñ le gayā saarī
so ab kyā hai faqat hai āh-o-zārī hijr-e-jānāñ meñ
davā marham to kyā ye vaqt se bhī bhar nahīñ saktā
milā hai ham ko aisā zaḳhm-e-kārī hijr-e-jānāñ meñ
faqat ik baat hai kun kī mire maulā agar kah de
tire dar par khaḌā hai ik bhikārī hijr-e-jānāñ meñ
kabhī shiddat se yaad aa.ī lipaT kar ro liye ḳhud se
guzārī ham ne yuuñ hī 'umr saarī hijr-e-jānāñ meñ
na puchho kaise guzri shab hamari hijr-e-jaanan mein
rahi hai dil ko shab-bhar be-qarari hijr-e-jaanan mein
juda kuchh yun hua tha wo ki KHushiyan le gaya sari
so ab kya hai faqat hai aah-o-zari hijr-e-jaanan mein
dawa marham to kya ye waqt se bhi bhar nahin sakta
mila hai hum ko aisa zaKHm-e-kari hijr-e-jaanan mein
faqat ek baat hai kun ki mere maula agar kah de
tere dar par khaDa hai ek bhikari hijr-e-jaanan mein
kabhi shiddat se yaad aai lipaT kar ro liye KHud se
guzari hum ne yun hi 'umr sari hijr-e-jaanan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.