na puchho kaise pai hai bahaar-e-gulsitan humne
na pūchho kaise paa.ī hai bahār-e-gulsitāñ ham ne
bahut mushkil diye haiñ is kī ḳhātir imtihāñ ham ne
mohabbat kī haqīqat kaise batlā.eñ jahāñ vāloñ
ḳhud apnā rāh-e-ulfat meñ luTāyā hai jahāñ ham ne
mohabbat se isī baa.is bachāyā apne dāman ko
ġham-e-furqat meñ aksar Duube dekhe naujavāñ ham ne
rahe mahfūz har dam bijliyoñ kī zad se ai maulā
fanā karke bahut kuchh phir banāyā āshiyāñ ham ne
zabāñ kholī nahīñ 'hassān' un ke rū-ba-rū ham ne
ishāroñ hī ishāroñ meñ sunā dī dāstāñ ham ne
na puchho kaise pai hai bahaar-e-gulsitan hum ne
bahut mushkil diye hain is ki KHatir imtihan hum ne
mohabbat ki haqiqat kaise batlaen jahan walon
KHud apna rah-e-ulfat mein luTaya hai jahan hum ne
mohabbat se isi bais bachaya apne daman ko
gham-e-furqat mein aksar Dube dekhe naujawan hum ne
rahe mahfuz har dam bijliyon ki zad se ai maula
fana karke bahut kuchh phir banaya aashiyan hum ne
zaban kholi nahin 'hassan' un ke ru-ba-ru hum ne
ishaaron hi ishaaron mein suna di dastan hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.