na puchho shab-e-wasl kya ho raha hai
na pūchho shab-e-vasl kyā ho rahā hai
gale meñ haiñ bāñheñ gilā ho rahā hai
vo iThlā ke merī taraf aa rahe haiñ
qayāmat kā va.ada vafā ho rahā hai
gale par jo ruk ruk ke chaltā hai ḳhanjar
ye puurā mirā mudda.ā ho rahā hai
mirī be-ḳhudī par nazar kyā ho us ko
vo ḳhud mahv-e-nāz-o-adā ho rahā hai
vo ham-rāh le kar ga.e haiñ adū ko
zarā ham bhī dekh aa.eñ kyā ho rahā hai
tajāhul ne un ke hameñ maar Daalā
jab aate haiñ kahte haiñ kyā ho rahā hai
'sharaf' tum ne badnām use kar ke chhoḌā
yahī zikr ab jā-ba-jā ho rahā hai
na puchho shab-e-wasl kya ho raha hai
gale mein hain banhen gila ho raha hai
wo iThla ke meri taraf aa rahe hain
qayamat ka wada wafa ho raha hai
gale par jo ruk ruk ke chalta hai KHanjar
ye pura mera muddaa ho raha hai
meri be-KHudi par nazar kya ho us ko
wo KHud mahw-e-naz-o-ada ho raha hai
wo ham-rah le kar gae hain adu ko
zara hum bhi dekh aaen kya ho raha hai
tajahul ne un ke hamein mar Dala
jab aate hain kahte hain kya ho raha hai
'sharaf' tum ne badnam use kar ke chhoDa
yahi zikr ab ja-ba-ja ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.