na qadr-e-sher na qadr-e-hunar hai kya kahiye
na qadr-e-sher na qadr-e-hunar hai kyā kahiye
ye shā.erī hai ki ḳhūn-e-jigar hai kyā kahiye
hazār shor-e-malāmat hazār rusvā.ī
magar aziiz tirī rahguzar hai kyā kahiye
umīd-e-vasl meñ kuchh aur jī liye hote
ye zindagī bhī magar muḳhtasar hai kyā kahiye
na koī sub.h-e-tamannā na sub.h-e-vasl koī
sahar hanūz fareb-e-sahar hai kyā kahiye
bahut hasīn fazā-e-hayāt hai lekin
fazā hai aur ġham-e-bāl-o-par hai kyā kahiye
badal rahā hai diloñ ko bhī daur-e-sarmāya
nigāh-e-nāz bhī nā-mo'tabar hai kyā kahiye
'payām' jiite haiñ ham bāvajūd-e-nākāmī
havas hayāt kī aur kis qadar hai kyā kahiye
na qadr-e-sher na qadr-e-hunar hai kya kahiye
ye shaeri hai ki KHun-e-jigar hai kya kahiye
hazar shor-e-malamat hazar ruswai
magar aziz teri rahguzar hai kya kahiye
umid-e-wasl mein kuchh aur ji liye hote
ye zindagi bhi magar muKHtasar hai kya kahiye
na koi subh-e-tamanna na subh-e-wasl koi
sahar hanuz fareb-e-sahar hai kya kahiye
bahut hasin faza-e-hayat hai lekin
faza hai aur gham-e-baal-o-par hai kya kahiye
badal raha hai dilon ko bhi daur-e-sarmaya
nigah-e-naz bhi na-mo'tabar hai kya kahiye
'payam' jite hain hum bawajud-e-nakaami
hawas hayat ki aur kis qadar hai kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.