na qafas mein na aashiyane mein
na qafas meñ na āshiyāne meñ
chain miltā kahāñ zamāne meñ
jo bhī tasvīr hai vo gard-ālūd
jab bhī dekhā nigār-ḳhāne meñ
sar uThāyā to jhuk gayā aalam
miT gayā huuñ to sar jhukāne meñ
ho ga.e ham qafas ke bāshinde
bas ga.e log āshiyāne meñ
chhoḌte vaqt chand par apne
rakh diye ham ne āshiyāne meñ
bazm meñ har nigāh badlī huī
ḳhair apnī hai lauT jaane meñ
shahr meñ jab kahīñ bhī aag lagī
haath mere jale bujhāne meñ
mehrbāñ haiñ vo mujh pe phir bhī 'kamal'
dil laraztā hai paas jaane meñ
na qafas mein na aashiyane mein
chain milta kahan zamane mein
jo bhi taswir hai wo gard-alud
jab bhi dekha nigar-KHane mein
sar uThaya to jhuk gaya aalam
miT gaya hun to sar jhukane mein
ho gae hum qafas ke bashinde
bas gae log aashiyane mein
chhoDte waqt chand par apne
rakh diye hum ne aashiyane mein
bazm mein har nigah badli hui
KHair apni hai lauT jaane mein
shahr mein jab kahin bhi aag lagi
hath mere jale bujhane mein
mehrban hain wo mujh pe phir bhi 'kamal'
dil larazta hai pas jaane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.