na raste hue raushan na tirgi kam hai
na rāste hue raushan na tīrgī kam hai
ik aur sham.a jalāo ki raushnī kam hai
bas ik shu.ūr nahīñ dūsroñ ke dukh kā kuchh
vagarna ye nahīñ insāñ meñ āgahī kam hai
mai-e-aziyyat-e-daurāñ se hosh gum na kiye
ghaTā.eñ ho ga.iiñ halkī na ham ne pī kam hai
khiñche tumhārī taraf kis tarah se dil apnā
ki tum meñ ab bhī miyāñ shān-e-dilbarī kam hai
diloñ se ab bhī sharāre nikal to sakte haiñ
magar jo sho.ale uThātī vo aag hī kam hai
payām detī hai 'az.har' ye gardish-e-shab-o-roz
ki jald kar lo jo kar paao zindagī kam hai
na raste hue raushan na tirgi kam hai
ek aur shama jalao ki raushni kam hai
bas ek shuur nahin dusron ke dukh ka kuchh
wagarna ye nahin insan mein aagahi kam hai
mai-e-aziyyat-e-dauran se hosh gum na kiye
ghaTaen ho gain halki na hum ne pi kam hai
khinche tumhaari taraf kis tarah se dil apna
ki tum mein ab bhi miyan shan-e-dilbari kam hai
dilon se ab bhi sharare nikal to sakte hain
magar jo shoale uThati wo aag hi kam hai
payam deti hai 'azhar' ye gardish-e-shab-o-roz
ki jald kar lo jo kar pao zindagi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.