na rahbar ne na uski rahbari ne
na rahbar ne na uski rahbari ne
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi
MORE BYShiv Ratan Lal Barq Punchhwi
na rahbar ne na us kī rahbarī ne
mujhe manzil 'atā kī gumrahī ne
banā Daalā zamāne bhar ko dushman
faqat ik ajnabī kī dostī ne
vo kyuuñ muhtāj ho shams-o-qamar kā
jilā baḳhshī ho jis ko tīrgī ne
badan kāñToñ se kar Daalā hai chhalnī
hamārā gul-ruḳhoñ kī dostī ne
badal Daalā mazāq-e-gul-parastī
chaman meñ adh-khilī sī ik kalī ne
qayāmat ban ga.ī rahmat sarāpā
kyā kiyā aap kī ham-sā.egī ne
shikāyat barq kī ai 'barq' kaisī?
mujhe phūñkā hai gul kī pankhuḌī ne
na rahbar ne na us ki rahbari ne
mujhe manzil 'ata ki gumrahi ne
bana Dala zamane bhar ko dushman
faqat ek ajnabi ki dosti ne
wo kyun muhtaj ho shams-o-qamar ka
jila baKHshi ho jis ko tirgi ne
badan kanTon se kar Dala hai chhalni
hamara gul-ruKHon ki dosti ne
badal Dala mazaq-e-gul-parasti
chaman mein adh-khili si ek kali ne
qayamat ban gai rahmat sarapa
kya kiya aap ki ham-saegi ne
shikayat barq ki ai 'barq' kaisi?
mujhe phunka hai gul ki pankhuDi ne
- Book : Barq-o-Sharar (Pg. 23)
- Author : Dr. Barq Poonchvi
- Publication : Swaraj Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.