na rahe zaban pe qahqahe na kabhi labon pe hansi rahi
na rahe zabān pe qahqahe na kabhī laboñ pe hañsī rahī
jo rahā to muddatoñ ġham rahā koī lamha bhar na ḳhushī rahī
maiñ akelā rāh-e-hayāt meñ ka.ī manziloñ se guzar gayā
na kisī ne haal pe kī nazar na kisī kī rāhbarī rahī
kisī dil pe tiir sā chal gayā kisī dil kā zaḳhm ubhar gayā
mirī baat chubhtī rahī bahut mirī baat chūñki kharī rahī
ye baḌī ajiib sī baat hai jo tamām umr satā.egī
jo milā mujhe so bahut milā magar ek terī kamī rahī
ka.ī log dūr-darāz se mujhe yaad karte haiñ pyaar se
jo rahī to mere hī shahr meñ baḌī merī be-qadarī rahī
na rahe zaban pe qahqahe na kabhi labon pe hansi rahi
jo raha to muddaton gham raha koi lamha bhar na KHushi rahi
main akela rah-e-hayat mein kai manzilon se guzar gaya
na kisi ne haal pe ki nazar na kisi ki rahbari rahi
kisi dil pe tir sa chal gaya kisi dil ka zaKHm ubhar gaya
meri baat chubhti rahi bahut meri baat chunki khari rahi
ye baDi ajib si baat hai jo tamam umr sataegi
jo mila mujhe so bahut mila magar ek teri kami rahi
kai log dur-daraaz se mujhe yaad karte hain pyar se
jo rahi to mere hi shahr mein baDi meri be-qadari rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.