na rahguzar mein thi teri na kaenat mein thi
na rahguzar meñ thī terī na kā.enāt meñ thī
safar kī saarī sa.ūbat mirī hayāt meñ thī
na jaane kitne hī manzar the naqsh āñkhoñ meñ
hamārī soch kī manzil kisī kī zaat meñ thī
mujhe kahāñ se kahāñ le ga.ī zarā dekho
vo ek tanz kī ḳhushbū jo us kī baat meñ thī
hameñ jo phuul banāyā to dete ḳhushbū bhī
hamārī miTTī ai but-gar tumhāre haath meñ thī
abhī to sarhad-e-sāhil pe thā qadam us kā
ajiib sansanī lekin hamārī zaat meñ thī
mire badan kī harārat bhī le ga.ī 'paikar'
vo kaalī raat jo barsoñ se merī ghaat meñ thī
na rahguzar mein thi teri na kaenat mein thi
safar ki sari saubat meri hayat mein thi
na jaane kitne hi manzar the naqsh aankhon mein
hamari soch ki manzil kisi ki zat mein thi
mujhe kahan se kahan le gai zara dekho
wo ek tanz ki KHushbu jo us ki baat mein thi
hamein jo phul banaya to dete KHushbu bhi
hamari miTTi ai but-gar tumhaare hath mein thi
abhi to sarhad-e-sahil pe tha qadam us ka
ajib sansani lekin hamari zat mein thi
mere badan ki hararat bhi le gai 'paikar'
wo kali raat jo barson se meri ghat mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.