na rakh-rakhaw sajawaT na dilrubai hai
na rakh-rakhāv sajāvaT na dilrubā.ī hai
ye kis tarah kī havā-e-ġhazal-sarā.ī hai
haveliyoñ ke khañDar dāstāñ bhī rakhte haiñ
ye agle daur kā andāz-e-peshvā.ī hai
kahāñ kā shauq kahāñ koī intihā-e-shauq
bas intizār meñ ik zindagī bitā.ī hai
har ek phuul ko chhū kar ga.ī hai bād-e-sabā
ki us ne aag sī gulshan meñ phir lagā.ī hai
kisī ne pūchh liyā thā hamārā hāl-e-dil
phir us ke baa'd kahāñ ḳhud kī yaad aa.ī hai
hamāre ḳhvāb hameñ zindagī dikhāte haiñ
ki apnī niiñd sitāroñ sī jhilmilā.ī hai
ab us kā naam bhī lenā muhāl hai 'bebāk'
shadīd choT kaleje pe jab se khaa.ī hai
na rakh-rakhaw sajawaT na dilrubai hai
ye kis tarah ki hawa-e-ghazal-sarai hai
haweliyon ke khanDar dastan bhi rakhte hain
ye agle daur ka andaz-e-peshwai hai
kahan ka shauq kahan koi intiha-e-shauq
bas intizar mein ek zindagi bitai hai
har ek phul ko chhu kar gai hai baad-e-saba
ki us ne aag si gulshan mein phir lagai hai
kisi ne puchh liya tha hamara haal-e-dil
phir us ke ba'd kahan KHud ki yaad aai hai
hamare KHwab hamein zindagi dikhate hain
ki apni nind sitaron si jhilmilai hai
ab us ka nam bhi lena muhaal hai 'bebak'
shadid choT kaleje pe jab se khai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.