na rakhe jab ki wo bebak lihaz
na rakhe jab ki vo bebāk lihāz
kahiye āshiq ko rahe ḳhaak lihāz
tā-ba-ke shikva-e-gardish na kareñ
kab tak ai gardish-e-aflāk lihāz
rū-ba-rū ġhair ke ronā kyā hai
chāhiye dīda-e-namnāk lihāz
ab ke ik shor namak par hogā
na rakheñge ye jigar-chāk lihāz
aañkh uThā kar bhī na dekhā dam-e-qatl
dekh apnā but-e-saffāk lihāz
kyoñ na pāmāl hoñ ham jab ki tirā
na kare tausan-e-chālāk lihāz
chashm-e-maḳhmūr pe har-dam hai nigāh
kyā rahe pī ke mai-e-tāk lihāz
ai 'hayā' ab na kahūñ kyūñkar haal
jaañ laboñ par hai karūñ ḳhaak lihāz
na rakhe jab ki wo bebak lihaz
kahiye aashiq ko rahe KHak lihaz
ta-ba-ke shikwa-e-gardish na karen
kab tak ai gardish-e-aflak lihaz
ru-ba-ru ghair ke rona kya hai
chahiye dida-e-namnak lihaz
ab ke ek shor namak par hoga
na rakhenge ye jigar-chaak lihaz
aankh uTha kar bhi na dekha dam-e-qatl
dekh apna but-e-saffak lihaz
kyon na pamal hon hum jab ki tera
na kare tausan-e-chaalak lihaz
chashm-e-maKHmur pe har-dam hai nigah
kya rahe pi ke mai-e-tak lihaz
ai 'haya' ab na kahun kyunkar haal
jaan labon par hai karun KHak lihaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.