na rakkha kahin ka na apna banaya
na rakkhā kahīñ kā na apnā banāyā
vo kyā chāhte haiñ samajh meñ na aaya
diyā dil to kaif-e-vafā haath aaya
vo kyā jaane jis ne na khoyā na paayā
yahī farz kar lo ki dard-e-mohabbat
na tum ne sunā aur na maiñ ne sunāyā
kaḌī dhuup meñ hai mohabbat kī manzil
zarā der kā hai sar-e-rāh saayā
nasheman ġharīboñ ke ujḌe paḌe haiñ
havā-e-gulistāñ ko chalnā na aaya
'razā' khelnā thā ġham-e-zindagī se
mohabbat ko ham ne vasīla banāyā
na rakkha kahin ka na apna banaya
wo kya chahte hain samajh mein na aaya
diya dil to kaif-e-wafa hath aaya
wo kya jaane jis ne na khoya na paya
yahi farz kar lo ki dard-e-mohabbat
na tum ne suna aur na main ne sunaya
kaDi dhup mein hai mohabbat ki manzil
zara der ka hai sar-e-rah saya
nasheman gharibon ke ujDe paDe hain
hawa-e-gulistan ko chalna na aaya
'raza' khelna tha gham-e-zindagi se
mohabbat ko hum ne wasila banaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.