na rasta na koi Dagar hai yahan
na rasta na koī Dagar hai yahāñ
magar sab kī qismat safar hai yahāñ
sunā.ī na degī diloñ kī sadā
dimāġhoñ meñ vo shor-o-shar hai yahāñ
havāoñ kī uñglī pakaḌ kar chalo
vasīla yahī mo'tabar hai yahāñ
na is shahr-e-be-his ko sahrā kaho
suno ik hamārā bhī ghar hai yahāñ
palak bhī jhapakte ho 'maḳhmūr' kyuuñ
tamāshā bahut muḳhtasar hai yahāñ
na rasta na koi Dagar hai yahan
magar sab ki qismat safar hai yahan
sunai na degi dilon ki sada
dimaghon mein wo shor-o-shar hai yahan
hawaon ki ungli pakaD kar chalo
wasila yahi mo'tabar hai yahan
na is shahr-e-be-his ko sahra kaho
suno ek hamara bhi ghar hai yahan
palak bhi jhapakte ho 'maKHmur' kyun
tamasha bahut muKHtasar hai yahan
- Book : Junoon (Pg. 178)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.