na raushni hai ziyaada na saKHt andhera hai
na raushnī hai ziyāda na saḳht añdherā hai
ye ġham kī shaam hai yā dard kā saverā hai
javāñ huā to hijāboñ ne Dhak liyā us ko
ab is ke baa’d vo dil terā hai na merā hai
hameñ milī bhī to rahne ko zindagī kī galī
bad aur nek 'amal kā jahāñ pe pherā hai
ḳhud apne ḳhuun se sīñchā hai zindagī kā shajar
jo hasratoñ ke parindoñ kā ab baserā hai
bachī hai dil meñ faqat ik kiran masarrat kī
ise bhī yaas kī badlī ne aan gherā hai
ham is qadar bhī akele nahīñ rahe 'bebāk'
dimāġh-o-dil meñ ḳhalā aur hū kā Derā hai
na raushni hai ziyaada na saKHt andhera hai
ye gham ki sham hai ya dard ka sawera hai
jawan hua to hijabon ne Dhak liya us ko
ab is ke ba’d wo dil tera hai na mera hai
hamein mili bhi to rahne ko zindagi ki gali
bad aur nek 'amal ka jahan pe phera hai
KHud apne KHun se sincha hai zindagi ka shajar
jo hasraton ke parindon ka ab basera hai
bachi hai dil mein faqat ek kiran masarrat ki
ise bhi yas ki badli ne aan ghera hai
hum is qadar bhi akele nahin rahe 'bebak'
dimagh-o-dil mein KHala aur hu ka Dera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.