na ro ai dil tere rone se kyon ho mehrban koi
na ro ai dil tere rone se kyon ho mehrban koi
Shafatullah Khan shar
MORE BYShafatullah Khan shar
na ro ai dil tire rone se kyoñ ho mehrbāñ koī
yahāñ na ham-zabāñ koī na terā rāzdāñ koī
riyā-kārī se bachne ke liye ho āstāñ aisā
jahāñ māthe pe qashqa ho na sajde kā nishān koī
guloñ kā rang piilā hai ḳhizāñ kā daur-daura hai
chaman kī ābyārī ko nahīñ hai bāġhbāñ koī
makāñ kī is qadar ujlat tirī duniyā meñ ai mālik
ki ba.ad-az-marg bhī miltā nahīñ ḳhālī makāñ koī
kahāñ kī rahbarī kaisī qayādat kyā qayādat meñ
'sahar' pahuñchā bhī hai manzil pe ab tak kārvāñ koī
na ro ai dil tere rone se kyon ho mehrban koi
yahan na ham-zaban koi na tera raazdan koi
riya-kari se bachne ke liye ho aastan aisa
jahan mathe pe qashqa ho na sajde ka nishan koi
gulon ka rang pila hai KHizan ka daur-daura hai
chaman ki aabyari ko nahin hai baghban koi
makan ki is qadar ujlat teri duniya mein ai malik
ki baad-az-marg bhi milta nahin KHali makan koi
kahan ki rahbari kaisi qayaadat kya qayaadat mein
'sahar' pahuncha bhi hai manzil pe ab tak karwan koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.