Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na ro ke aankhen lal kar KHayal kar

Neeraj Naveed

na ro ke aankhen lal kar KHayal kar

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    na ro ke āñkheñ laal kar ḳhayāl kar

    gila na ab malāl kar ḳhayāl kar

    haiñ zindagī meñ mushkileñ to hal bhī haiñ

    na ḳhud ko yuuñ nidhāl kar ḳhayāl kar

    yahāñ bas ek nahīñ shikasta dil

    na is qadar vabāl kar ḳhayāl kar

    ye kahte haiñ ki zindagī bhī jashn hai

    raqs kar dhamāl kar ḳhayāl kar

    jo mubtalā haiñ 'ishq meñ kamāl haiñ

    so bhī ye kamāl kar ḳhayāl kar

    savāl javāb de mire agar

    savāl hai savāl kar ḳhayāl kar

    agar koī gila hai mujh se bol de

    pa rābta bahāl kar ḳhayāl kar

    tujhī se merī har ḳhushī hai jān-e-jāñ

    ḳhayāl kar ḳhayāl kar ḳhayāl kar

    na ro ke aankhen lal kar KHayal kar

    gila na ab malal kar KHayal kar

    hain zindagi mein mushkilen to hal bhi hain

    na KHud ko yun nidhaal kar KHayal kar

    yahan bas ek tu nahin shikasta dil

    na is qadar wabaal kar KHayal kar

    ye kahte hain ki zindagi bhi jashn hai

    tu raqs kar dhamal kar KHayal kar

    jo mubtala hain 'ishq mein kamal hain

    so tu bhi ye kamal kar KHayal kar

    sawal ka jawab de mere agar

    sawal hai sawal kar KHayal kar

    agar koi gila hai mujh se bol de

    pa rabta bahaal kar KHayal kar

    tujhi se meri har KHushi hai jaan-e-jaan

    KHayal kar KHayal kar KHayal kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now