na rok ai chaaragar is muztarib ko chiKH lene de
na rok ai chārāgar is muztarib ko chīḳh lene de
ye vo naala hai mar jaatā hai jis kā rokne vaalā
gayā vo vaqt jab terī vafāoñ kī tamanna thī
sitamgar ham ne andāz-e-tabī.at hī badal Daalā
ilāhī jab mujhe sachchī mohabbat tū ne baḳhshī hai
to paidā kar koī merī vafā kā dekhne vaalā
tumheñ samjhā rahā huuñ ho sake jab tak mujhe roko
jo niklī aah dil se kaun hai phir rokne vaalā
maiñ apne qatl kā ilzām apne sar pe le lūñgā
magar ye to batā do tum ne vo dāman to dho Daalā
'munīr' achchhā zarīya hai alā.eq qat.a karne kā
ajal kā aasrā goyā hai jaañ kā pālne vaalā
na rok ai chaaragar is muztarib ko chiKH lene de
ye wo nala hai mar jata hai jis ka rokne wala
gaya wo waqt jab teri wafaon ki tamanna thi
sitamgar hum ne andaz-e-tabiat hi badal Dala
ilahi jab mujhe sachchi mohabbat tu ne baKHshi hai
to paida kar koi meri wafa ka dekhne wala
tumhein samjha raha hun ho sake jab tak mujhe roko
jo nikli aah dil se kaun hai phir rokne wala
main apne qatl ka ilzam apne sar pe le lunga
magar ye to bata do tum ne wo daman to dho Dala
'munir' achchha zariya hai alaeq qata karne ka
ajal ka aasra goya hai jaan ka palne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.