na ruswa is tarah karte bula kar mujhko mahfil mein
na ruswa is tarah karte bula kar mujhko mahfil mein
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
na rusvā is tarah karte bulā kar mujh ko mahfil meñ
agar pās-e-vafā hotā zarā bhī aap ke dil meñ
na ab vo valvale baaqī na ab vo hausle dil meñ
mirā honā na honā ek hai duniyā kī mahfil meñ
havādis se hai nisbat ḳhaas aise zindagānī ko
hai qaa.em rabt-e-bāham jis tarah dariyā-o-sāhil meñ
baḌī muddat se ye aalam na jiitā huuñ na martā huuñ
baḌī muddat se merī zindagī hai saḳht mushkil meñ
abhī koī balā TuuTī abhī koī sitam TuuTā
rahā jab tak maiñ zinda ik yahī ḳhadsha rahā dil meñ
mirī hastī kī kashtī kā Thikānā hī nahīñ koī
abhī āġhosh-e-tūfāñ meñ abhī āġhosh-e-sāhil meñ
tumhīñ socho mirā jiinā koī jiine meñ jiinā hai
na koī aarzū dil meñ na koī mudda.ā dil meñ
safīna zindagī kā nazr-e-tūfāñ kar diyā 'āsī'
tujhe āḳhir ye kyā sūjhī ye kyā aa.ī tire dil meñ
na ruswa is tarah karte bula kar mujh ko mahfil mein
agar pas-e-wafa hota zara bhi aap ke dil mein
na ab wo walwale baqi na ab wo hausle dil mein
mera hona na hona ek hai duniya ki mahfil mein
hawadis se hai nisbat KHas aise zindagani ko
hai qaem rabt-e-baham jis tarah dariya-o-sahil mein
baDi muddat se ye aalam na jita hun na marta hun
baDi muddat se meri zindagi hai saKHt mushkil mein
abhi koi bala TuTi abhi koi sitam TuTa
raha jab tak main zinda ek yahi KHadsha raha dil mein
meri hasti ki kashti ka Thikana hi nahin koi
abhi aaghosh-e-tufan mein abhi aaghosh-e-sahil mein
tumhin socho mera jina koi jine mein jina hai
na koi aarzu dil mein na koi muddaa dil mein
safina zindagi ka nazr-e-tufan kar diya 'asi'
tujhe aaKHir ye kya sujhi ye kya aai tere dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.