na rudad apni kaha chahta hun
na rūdād apnī kahā chāhtā huuñ
na auroñ kī biitī sunā chāhtā huuñ
ḳhudā jaane kyoñ is se jī uTh gayā hai
ab is bazm se maiñ uThā chāhtā huuñ
na kar dil-jaloñ se guloñ kī hikāyat
bas itnā karam ai sabā chāhtā huuñ
na rahmat kar ai tund-e-bād-e-havādis
charāġh-e-sahar huuñ bujhā chāhtā huuñ
masarrat kī ghaḌiyāñ kahīñ bhūltī haiñ
magar maiñ unheñ bhūlnā chāhtā huuñ
mirā ġhuncha-e-dil ḳhudā hī khilā.e
nasīm-o-sabā kī duā chāhtā huuñ
adhūrā thā 'mohsin' mirā naqsh-e-hastī
banā bhī na thā aur miTā chāhtā huuñ
na rudad apni kaha chahta hun
na auron ki biti suna chahta hun
KHuda jaane kyon is se ji uTh gaya hai
ab is bazm se main uTha chahta hun
na kar dil-jalon se gulon ki hikayat
bas itna karam ai saba chahta hun
na rahmat kar ai tund-e-baad-e-hawadis
charagh-e-sahar hun bujha chahta hun
masarrat ki ghaDiyan kahin bhulti hain
magar main unhen bhulna chahta hun
mera ghuncha-e-dil KHuda hi khilae
nasim-o-saba ki dua chahta hun
adhura tha 'mohsin' mera naqsh-e-hasti
bana bhi na tha aur miTa chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.