na saqi hai na mina hai na bar mein yar-e-jaani hai
na saqi hai na mina hai na bar mein yar-e-jaani hai
Miir Sher Ali Afsos
MORE BYMiir Sher Ali Afsos
na saaqī hai na miinā hai na bar meñ yār-e-jānī hai
haqīqat meñ nahīñ jiite ba-sūrat zindagānī hai
navāzish par mizāj aayā jahāñ diiñ gāliyāñ lākhoñ
karam hai aap kā turfa ajā.ib mehrbānī hai
suno Tuk gosh-e-dil se qissa-e-jāñ soz ko mere
ki jag-bītī nahīñ hai āp-bītī ye kahānī hai
abas hai soch tujh ko nāma-bar de shauq se mujh ko
koī jhiḌkī koī gaalī agar us kī zabānī hai
tū apne haath kā chhallā jo har ik se chhupātā hai
batā 'afsos' kis parda-nashīñ kī ye nishānī hai
na saqi hai na mina hai na bar mein yar-e-jaani hai
haqiqat mein nahin jite ba-surat zindagani hai
nawazish par mizaj aaya jahan din galiyan lakhon
karam hai aap ka turfa ajaib mehrbani hai
suno Tuk gosh-e-dil se qissa-e-jaan soz ko mere
ki jag-biti nahin hai aap-biti ye kahani hai
abas hai soch tujh ko nama-bar de shauq se mujh ko
koi jhiDki koi gali agar us ki zabani hai
tu apne hath ka chhalla jo har ek se chhupata hai
bata 'afsos' kis parda-nashin ki ye nishani hai
- Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 29)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.