na sahi hum pe inayat nahin paimanon ki
na sahī ham pe ināyat nahīñ paimānoñ kī
khiḌkiyāñ khul ga.iiñ āñkhoñ se to mai-ḳhānoñ kī
aa nahīñ saktā samajh meñ kabhī farzānoñ kī
surḳh-rū kaise jabīneñ huiiñ dīvānoñ kī
zulf bikhrā.e sar-e-shām pareshān haiñ vo
qismateñ auj pe haiñ chāk-garebānoñ kī
dāstāñ kohkan-o-qais kī farsūda huī
surḳhiyāñ ham ne badal Daalī haiñ afsānoñ kī
āñkheñ to bhiig chukīñ aur na pyaar aa jaa.e
aur rūdād suneñ aap na dīvānoñ kī
mai-kade aane se pahle kā zamāna tauba
ḳhaak chhānī hai haram aur sanam-ḳhānoñ kī
zaḳhm-e-dil ko koī marham bhī na raas aa.egā
har gul-e-zaḳhm meñ lazzat hai namak-dānoñ kī
jaane kab nikle murādoñ kī dulhan kī Dolī
dil meñ bārāt hai Thahrī huī armānoñ kī
zaḳhm par hañste haiñ ashkoñ ko guhar kahte haiñ
aql maarī ga.ī is daur meñ insānoñ kī
kitne momin nazar aate haiñ sanam-ḳhānoñ meñ
ek kāfir nahīñ bastī meñ musalmānoñ kī
jitnī taz.hīk tire shahr meñ apnoñ kī huī
utnī tauhīn na hogī kahīñ begānoñ kī
raat baḌh baḌh ke jo sham' pe hue the sadqe
sub.h tak ḳhaak na dekhī ga.ī parvānoñ kī
haram-o-dair kī bastī meñ hai tam.īz-o-nafāq
koī tafrīq-e-milal dekhī na dīvānoñ kī
log kyuuñ shahr-e-ḳhamoshāñ ko khiñche jaate haiñ
jaane kyā jaan hai is bastī meñ be-jānoñ kī
ruḳh badalte haiñ dorāhe pe khaḌe haiñ sālār
sa.i'-e-nākām to dekhe koī nā-dānoñ kī
hāthā-chhāñTī hai 'ajab aur 'ajab lūT-khasūT
niyyateñ aur haiñ shāyad ki nigahbānoñ kī
pūchhe 'gulzār' se hai vo ba-zabān-e-sausan
tum kahāñ bazm meñ aa.e ho zabāñ-dānoñ kī
na sahi hum pe inayat nahin paimanon ki
khiDkiyan khul gain aankhon se to mai-KHanon ki
aa nahin sakta samajh mein kabhi farzanon ki
surKH-ru kaise jabinen huin diwanon ki
zulf bikhrae sar-e-sham pareshan hain wo
qismaten auj pe hain chaak-garebanon ki
dastan kohkan-o-qais ki farsuda hui
surKHiyan hum ne badal Dali hain afsanon ki
aankhen to bhig chukin aur na pyar aa jae
aur rudad sunen aap na diwanon ki
mai-kade aane se pahle ka zamana tauba
KHak chhani hai haram aur sanam-KHanon ki
zaKHm-e-dil ko koi marham bhi na ras aaega
har gul-e-zaKHm mein lazzat hai namak-danon ki
jaane kab nikle muradon ki dulhan ki Doli
dil mein baraat hai Thahri hui armanon ki
zaKHm par hanste hain ashkon ko guhar kahte hain
aql mari gai is daur mein insanon ki
kitne momin nazar aate hain sanam-KHanon mein
ek kafir nahin basti mein musalmanon ki
jitni tazhik tere shahr mein apnon ki hui
utni tauhin na hogi kahin beganon ki
raat baDh baDh ke jo sham' pe hue the sadqe
subh tak KHak na dekhi gai parwanon ki
haram-o-dair ki basti mein hai tamiz-o-nafaq
koi tafriq-e-milal dekhi na diwanon ki
log kyun shahr-e-KHamoshan ko khinche jate hain
jaane kya jaan hai is basti mein be-jaanon ki
ruKH badalte hain dorahe pe khaDe hain salar
sai'-e-nakaam to dekhe koi na-danon ki
hatha-chhanTi hai 'ajab aur 'ajab luT-khasuT
niyyaten aur hain shayad ki nigahbanon ki
puchhe 'gulzar' se hai wo ba-zaban-e-sausan
tum kahan bazm mein aae ho zaban-danon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.