na sahi KHuld jahannum hi ata ho to sahi
na sahī ḳhuld jahannum hī atā ho to sahī
koī nā-karda gunāhoñ kī sazā ho to sahī
maiñ to sab kuchh tire qadmoñ pe nichhāvar kar duuñ
kuchh mire paas mohabbat ke sivā ho to sahī
kyoñ farishte mujhe jannat meñ liye jaate haiñ
mujh gunahgār ne kuchh jurm kiyā ho to sahī
har taraf ret kā dariyā hī nazar aatā hai
jaane vāloñ kā nishān-e-kaf-e-pā ho to sahī
tum to har shāḳh se har phuul se jhāñk uThte ho
tum ko palkoñ meñ chhupā kar na rakhā ho to sahī
phuul ke dil meñ bhī kāñToñ kī jagah hotī hai
phuul jaisoñ ko magar is kā pata ho to sahī
aable phūTeñ to sahrā ko banā deñ gulzār
aisā 'fayyāz' koī ābla-pā ho to sahī
na sahi KHuld jahannum hi ata ho to sahi
koi na-karda gunahon ki saza ho to sahi
main to sab kuchh tere qadmon pe nichhawar kar dun
kuchh mere pas mohabbat ke siwa ho to sahi
kyon farishte mujhe jannat mein liye jate hain
mujh gunahgar ne kuchh jurm kiya ho to sahi
har taraf ret ka dariya hi nazar aata hai
jaane walon ka nishan-e-kaf-e-pa ho to sahi
tum to har shaKH se har phul se jhank uThte ho
tum ko palkon mein chhupa kar na rakha ho to sahi
phul ke dil mein bhi kanTon ki jagah hoti hai
phul jaison ko magar is ka pata ho to sahi
aable phuTen to sahra ko bana den gulzar
aisa 'fayyaz' koi aabla-pa ho to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.