na shab-o-roz hi badle hain na haal achchha hai
na shab-o-roz hī badle haiñ na haal achchhā hai
kis barahman ne kahā thā ki ye saal achchhā hai
ham ki donoñ ke giraftār rahe jānte haiñ
dām-e-duniyā se kahīñ zulf kā jaal achchhā hai
maiñ ne pūchhā thā ki āḳhir ye taġhāful kab tak
muskurāte hue bole ki savāl achchhā hai
lazzateñ qurb-o-judā.ī kī haiñ apnī apnī
mustaqil hijr hī achchhā na visāl achchhā hai
rahravān-e-rah-eulfat kā muqaddar ma.alūm
in kā āġhāz hī achchhā na ma.aal achchhā hai
dostī apnī jagah par ye haqīqat hai 'farāz'
tirī ġhazloñ se kahīñ terā ġhazāl achchhā hai
na shab-o-roz hi badle hain na haal achchha hai
kis barahman ne kaha tha ki ye sal achchha hai
hum ki donon ke giraftar rahe jaante hain
dam-e-duniya se kahin zulf ka jal achchha hai
main ne puchha tha ki aaKHir ye taghaful kab tak
muskuraate hue bole ki sawal achchha hai
lazzaten qurb-o-judai ki hain apni apni
mustaqil hijr hi achchha na visal achchha hai
rahrawan-e-rah-eulfat ka muqaddar malum
in ka aaghaz hi achchha na maal achchha hai
dosti apni jagah par ye haqiqat hai 'faraaz'
teri ghazlon se kahin tera ghazal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.