na shar us ka na hai shamshir uski
na shar us ka na hai shamshir uski
Sayyad Safdar Raza Khandvi
MORE BYSayyad Safdar Raza Khandvi
na shar us kā na hai shamshīr us kī
lagī hai daav par taqdīr us kī
sar-e-maqtal na dīvāne ko chheḌo
sharar-angez hai zanjīr us kī
jo likh kar ho gayā ġharqāb-e-tūfāñ
ravāñ hai ret par tahrīr us kī
mahakte ḳhat haiñ murjhā.e hue gul
yahī hai paas ab jāgīr us kī
vo bijlī phuul shabnam aur sitāra
musavvir khīñch le tasvīr us kī
maiñ muḌ ke jab bhī pīchhe dekhtā huuñ
nazar aatī hai bas tanvīr us kī
maiñ yādoñ ke sahāre jī rahā huuñ
inhī yādoñ meñ hai tasvīr us kī
'razā' dekhā hai tum ne ḳhvāb shāyad
bahut mushkil hai ab ta.abīr us kī
na shar us ka na hai shamshir us ki
lagi hai daw par taqdir us ki
sar-e-maqtal na diwane ko chheDo
sharar-angez hai zanjir us ki
jo likh kar ho gaya gharqab-e-tufan
rawan hai ret par tahrir us ki
mahakte KHat hain murjhae hue gul
yahi hai pas ab jagir us ki
wo bijli phul shabnam aur sitara
musawwir khinch le taswir us ki
main muD ke jab bhi pichhe dekhta hun
nazar aati hai bas tanwir us ki
main yaadon ke sahaare ji raha hun
inhi yaadon mein hai taswir us ki
'raza' dekha hai tum ne KHwab shayad
bahut mushkil hai ab tabir us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.