Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na shikayat na gila yaad aaya

Nawab Dehlwi

na shikayat na gila yaad aaya

Nawab Dehlwi

MORE BYNawab Dehlwi

    na shikāyat na gila yaad aaya

    sheva-e-ahl-e-vafā yaad aaya

    allah allāh mirā husn-e-nazar

    but ko dekhe se ḳhudā yaad aaya

    gum huā jaatā huuñ baiThe baiThe

    jalva-e-hosh-rubā yaad aaya

    us ke aane se ḳhudā ko bhūlā

    vo na aaya to ḳhudā yaad aaya

    bhuul baiThā huuñ maiñ apne ghar ko

    kyoñ tire ghar patā yaad aaya

    is tarah Duubī hai dil kashtī

    nā-ḳhudā ko bhī ḳhudā yaad aaya

    shiddat-e-ġham se farāġhat na huī

    mujh ko hañsnā jo zarā yaad aaya

    band hotī nahīñ tarsī āñkheñ

    haa.e kyā vaqt-e-qazā yaad aaya

    kū-e-qātil ko chale ho 'navvāb'

    baiThe baiThe tumheñ kyā yaad aaya

    na shikayat na gila yaad aaya

    shewa-e-ahl-e-wafa yaad aaya

    allah allah mera husn-e-nazar

    but ko dekhe se KHuda yaad aaya

    gum hua jata hun baiThe baiThe

    jalwa-e-hosh-ruba yaad aaya

    us ke aane se KHuda ko bhula

    wo na aaya to KHuda yaad aaya

    bhul baiTha hun main apne ghar ko

    kyon tere ghar ka pata yaad aaya

    is tarah Dubi hai dil ki kashti

    na-KHuda ko bhi KHuda yaad aaya

    shiddat-e-gham se faraghat na hui

    mujh ko hansna jo zara yaad aaya

    band hoti nahin tarsi aankhen

    hae kya waqt-e-qaza yaad aaya

    ku-e-qatil ko chale ho 'nawwab'

    baiThe baiThe tumhein kya yaad aaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now