na shohrat hai na ruswai mere pichhe
na shohrat hai na rusvā.ī mire pīchhe
magar hai merī tanhā.ī mire pīchhe
sipāhī mere lashkar meñ bahut kam haiñ
hazāroñ haiñ tamāshā.ī mire pīchhe
maiñ tanhā thā magar jab aa.ina dekhā
tirī sūrat nazar aa.ī mire pīchhe
mahak aane lagī pardes meñ us kī
chalī kuchh aisī purvā.ī mire pīchhe
koī ḳhush ho gayā mujh se alag ho kar
kisī kī aañkh bhar aa.ī mire pīchhe
na shohrat hai na ruswai mere pichhe
magar hai meri tanhai mere pichhe
sipahi mere lashkar mein bahut kam hain
hazaron hain tamashai mere pichhe
main tanha tha magar jab aaina dekha
teri surat nazar aai mere pichhe
mahak aane lagi pardes mein us ki
chali kuchh aisi purwai mere pichhe
koi KHush ho gaya mujh se alag ho kar
kisi ki aankh bhar aai mere pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.