na sirf dil hi gaya dil ka muddaa bhi gaya
na sirf dil hī gayā dil kā mudda.ā bhī gayā
vo kyā ga.e kabhī milne kā silsila bhī gayā
maiñ us ko jaane se rokūñ to kis tarah rokūñ
maiñ sochtī hī rahī aur vo chalā bhī gayā
vo aur din the ki jab zindagī meñ sab kuchh thā
ab us ke ba.ad to jiine kā hausla bhī gayā
husūl-e-zar kī havas us ko le ga.ī pardes
sukūn-e-dil kī vo daulat magar luTā bhī gayā
havā kā jhoñkā jo shāḳhoñ ko gudgudātā thā
vo hañste phūloñ ko chhū kar unheñ rulā bhī gayā
vo shahr-e-sañg meñ pahuñchā to ho gayā patthar
ab us se milne kā pur-kaif silsila bhī gayā
koī batā.e to 'nasrīn' ham kahāñ jaa.eñ
use bhī pā na sake haath se ḳhudā bhī gayā
na sirf dil hi gaya dil ka muddaa bhi gaya
wo kya gae kabhi milne ka silsila bhi gaya
main us ko jaane se rokun to kis tarah rokun
main sochti hi rahi aur wo chala bhi gaya
wo aur din the ki jab zindagi mein sab kuchh tha
ab us ke baad to jine ka hausla bhi gaya
husul-e-zar ki hawas us ko le gai pardes
sukun-e-dil ki wo daulat magar luTa bhi gaya
hawa ka jhonka jo shaKHon ko gudgudata tha
wo hanste phulon ko chhu kar unhen rula bhi gaya
wo shahr-e-sang mein pahuncha to ho gaya patthar
ab us se milne ka pur-kaif silsila bhi gaya
koi batae to 'nasrin' hum kahan jaen
use bhi pa na sake hath se KHuda bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.