na sirf itna ki tund-o-tez dhaara dekhta hun main
na sirf itnā ki tund-o-tez dhārā dekhtā huuñ maiñ
jo kaTtā jā rahā hai vo kinārā dekhtā huuñ maiñ
pahuñch kar sarhad-e-irfāñ pe āñkheñ bujhne lagtī haiñ
ye kis be-e'tibārī kā nazāra dekhtā huuñ maiñ
sabhī nazreñ to haiñ bujhte charāġhoñ tak jamī lekin
bisāt-e-anjuman ko pāra-pāra dekhtā huuñ maiñ
bhaḌak uThte haiñ jab sho.ale to hairānī nahīñ hotī
fazā kī god meñ paltā sharāra dekhtā huuñ maiñ
manāzir kab badalte haiñ jagah tabdīl hone se
vahī ek khel hai jis ko dobāra dekhtā huuñ maiñ
vahāñ se kyoñ mirī sochoñ pe tum ilzām dharte ho
yahāñ aa kar to dekho kyā nazāra dekhtā huuñ maiñ
na sirf itna ki tund-o-tez dhaara dekhta hun main
jo kaTta ja raha hai wo kinara dekhta hun main
pahunch kar sarhad-e-irfan pe aankhen bujhne lagti hain
ye kis be-e'tibari ka nazara dekhta hun main
sabhi nazren to hain bujhte charaghon tak jami lekin
bisat-e-anjuman ko para-para dekhta hun main
bhaDak uThte hain jab shoale to hairani nahin hoti
faza ki god mein palta sharara dekhta hun main
manazir kab badalte hain jagah tabdil hone se
wahi ek khel hai jis ko dobara dekhta hun main
wahan se kyon meri sochon pe tum ilzam dharte ho
yahan aa kar to dekho kya nazara dekhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.