na sirf ye ki sabhi gul-badan darida rahe
na sirf ye ki sabhī gul-badan darīda rahe
hamāre haal pe patthar bhī ābdīda rahe
usī zamāne meñ fan par nikhār bhī aayā
vo jis zamāne meñ ham se bahut kashīda rahe
unhīñ ne vaqt ke chehre ko tābnākī dī
jo log vaqt ke hāthoñ sitam-rasīda rahe
ham ek qissa-e-andoh-o-yās the lekin
samā.atoñ ke nagar meñ bhī nā-shunīda rahe
kuchh is tarah se rahā huuñ maiñ terī mahfil meñ
ki jaise mahñgī kitāboñ meñ ik jarīda rahe
har ek daur meñ sach bolte rahe ham log
har ek daur meñ ham log sar-burīda rahe
koī bhī zahr unheñ kyā halāk kar paatā
jo terī bazm meñ tere karam-gazīda rahe
chaman ko baḳhsh dī ham ne qabā-e-gul 'shā.ir'
ba-faiz-e-dast-e-junūñ ham qabā-darīda rahe
na sirf ye ki sabhi gul-badan darida rahe
hamare haal pe patthar bhi aabdida rahe
usi zamane mein fan par nikhaar bhi aaya
wo jis zamane mein hum se bahut kashida rahe
unhin ne waqt ke chehre ko tabnaki di
jo log waqt ke hathon sitam-rasida rahe
hum ek qissa-e-andoh-o-yas the lekin
samaaton ke nagar mein bhi na-shunida rahe
kuchh is tarah se raha hun main teri mahfil mein
ki jaise mahngi kitabon mein ek jarida rahe
har ek daur mein sach bolte rahe hum log
har ek daur mein hum log sar-burida rahe
koi bhi zahr unhen kya halak kar pata
jo teri bazm mein tere karam-gazida rahe
chaman ko baKHsh di hum ne qaba-e-gul 'shair'
ba-faiz-e-dast-e-junun hum qaba-darida rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.