na sitara na hi hum shams-o-qamar chahte hain
na sitāra na hī ham shams-o-qamar chāhte haiñ
ham daraḳhtoñ se faqat shāḳh-o-samar chāhte haiñ
na zamīñ chāhte haiñ aur na zar chāhte haiñ
ham faqīrān-e-ḳhudā ek hī dar chāhte haiñ
dasht-o-dariyā ke amiiñ bhī to haiñ āvāra nasīb
sā.ebāñ koī bhī ho apnā hī ghar chāhte haiñ
muntaqil apnī nadāmat na karo ġhairoñ tak
tajraba ham bhī kahāñ bār-e-digar chāhte haiñ
shīsha-o-chob ke dānoñ se na bahleñge kabhī
daur-e-hāzir ke ye bachche to guhar chāhte haiñ
mansab-o-jāh haqīqat meñ haiñ mohtājī-e-dil
sochiye ḳhuub ye kyā ilm-o-hunar chāhte haiñ
bin bulā.e hī musāfir ye chale aa.e the
vasvase aap se ab izn-e-safar chāhte haiñ
tum to aḳhbār sunāte ho jahāñ ke 'rāhī'
ham ki darvesh haiñ bātin kī ḳhabar chāhte haiñ
na sitara na hi hum shams-o-qamar chahte hain
hum daraKHton se faqat shaKH-o-samar chahte hain
na zamin chahte hain aur na zar chahte hain
hum faqiran-e-KHuda ek hi dar chahte hain
dasht-o-dariya ke amin bhi to hain aawara nasib
saeban koi bhi ho apna hi ghar chahte hain
muntaqil apni nadamat na karo ghairon tak
tajraba hum bhi kahan bar-e-digar chahte hain
shisha-o-chob ke danon se na bahlenge kabhi
daur-e-hazir ke ye bachche to guhar chahte hain
mansab-o-jah haqiqat mein hain mohtaji-e-dil
sochiye KHub ye kya ilm-o-hunar chahte hain
bin bulae hi musafir ye chale aae the
waswase aap se ab izn-e-safar chahte hain
tum to aKHbar sunate ho jahan ke 'rahi'
hum ki darwesh hain baatin ki KHabar chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.