na sochen ahl-e-KHirad mujhko aazmane ko
na socheñ ahl-e-ḳhirad mujh ko āzmāne ko
maiñ jāntā huuñ bahut aql ke fasāne ko
nahīñ qafas se nikalne kī aarzū sayyād
dikhā de ek nazar mere āshiyāne ko
asiir kar ke qafas meñ mujhe ye hairat hai
vo kah rahe haiñ mujhī se chaman bachāne ko
sulūk ahl-e-chaman se ye bāġhbāñ ne kiyā
qafas samajhne lage haiñ sab āshiyāne ko
batāo tum ko ye kyā ho gayā hai ahl-e-chaman
jalā rahe ho jo ḳhud apne āshiyāne ko
jafā-o-zulm ke is tund tez tūfāñ meñ
vo mujh se kahte haiñ sham-e-vafā jalāne ko
girā rahe haiñ musalsal vo bijliyāñ 'dānish'
batāo kaise bachāoge āshiyāne ko
na sochen ahl-e-KHirad mujh ko aazmane ko
main jaanta hun bahut aql ke fasane ko
nahin qafas se nikalne ki aarzu sayyaad
dikha de ek nazar mere aashiyane ko
asir kar ke qafas mein mujhe ye hairat hai
wo kah rahe hain mujhi se chaman bachane ko
suluk ahl-e-chaman se ye baghban ne kiya
qafas samajhne lage hain sab aashiyane ko
batao tum ko ye kya ho gaya hai ahl-e-chaman
jala rahe ho jo KHud apne aashiyane ko
jafa-o-zulm ke is tund tez tufan mein
wo mujh se kahte hain sham-e-wafa jalane ko
gira rahe hain musalsal wo bijliyan 'danish'
batao kaise bachaoge aashiyane ko
- Book : Danish Kada (Pg. 41)
- Author : Danish Farahi
- Publication : Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.