na tajalliyan na tasalliyan na salam hai na kalam hai
na tajalliyāñ na tasalliyāñ na salām hai na kalām hai
tirī jalva-gāh-e-ḳhayāl meñ bhī sukūt hī kā payām hai
abhī husn mahv-e-ḳhirām hai abhī shoḳh jalva-e-ām hai
kabhī ḳhalvatoñ meñ bhī raam hai ki taḳhayyulāt kā daam hai
na vo ārzūeñ zabāñ zabāñ na vo hasrateñ haiñ nazar nazar
tirī anjuman na vo anjuman na vo shauq hī kā maqām hai
na vo tūr-e-nāz kī bijliyāñ na kalīm-e-ishq kī shoḳhiyāñ
na vo raunaqeñ na vo ishrateñ na vo sub.h hai na vo shaam hai
jo sharāb-e-husn-o-jamāl meñ bhī haiñ bul-havas kī milāvaTeñ
dil-e-mai-parast hai ḳhūñ-fishāñ ki ye mai-kade kā nizām hai
dam-e-kā.enāt fuġhāñ-fuġhāñ ġham-e-mumkināt hai jāñ-sitāñ
ye tasavvurāt dhuāñ-dhuāñ ki 'adam vujūd kā naam hai
hai nishān-e-zaḳhm subū-subū yahāñ sāġharoñ meñ lahū-lahū
ye bukā ye naala ye hichkiyāñ ye fuġhān-e-shīsha-o-jām hai
mirī aah raunaq-e-anjuman hai sadā-e-dard suḳhan-suḳhan
tirī pardagī kā ye bāñkpan kahāñ jalva hai kahāñ baam hai
hai talāsh-e-husn makāñ-makāñ vahī justujū hai zamāñ-zamāñ
ye fareb 'aḳhtar'-e-ḳhush-gumāñ dil-e-mubtalā kā hī kaam hai
na tajalliyan na tasalliyan na salam hai na kalam hai
teri jalwa-gah-e-KHayal mein bhi sukut hi ka payam hai
abhi husn mahw-e-KHiram hai abhi shoKH jalwa-e-am hai
kabhi KHalwaton mein bhi ram hai ki taKHayyulat ka dam hai
na wo aarzuen zaban zaban na wo hasraten hain nazar nazar
teri anjuman na wo anjuman na wo shauq hi ka maqam hai
na wo tur-e-naz ki bijliyan na kalim-e-ishq ki shoKHiyan
na wo raunaqen na wo ishraten na wo subh hai na wo sham hai
jo sharab-e-husn-o-jamal mein bhi hain bul-hawas ki milawaTen
dil-e-mai-parast hai KHun-fishan ki ye mai-kade ka nizam hai
dam-e-kaenat fughan-fughan gham-e-mumkinat hai jaan-sitan
ye tasawwuraat dhuan-dhuan ki 'adam wujud ka nam hai
hai nishan-e-zaKHm subu-subu yahan sagharon mein lahu-lahu
ye buka ye nala ye hichkiyan ye fughan-e-shisha-o-jam hai
meri aah raunaq-e-anjuman hai sada-e-dard suKHan-suKHan
teri pardagi ka ye bankpan kahan jalwa hai kahan baam hai
hai talash-e-husn makan-makan wahi justuju hai zaman-zaman
ye fareb 'aKHtar'-e-KHush-guman dil-e-mubtala ka hi kaam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.