na taKHt-o-taj na daulat ka tazkira paDh kar
na taḳht-o-tāj na daulat kā tazkira paḌh kar
javāñ huā maiñ mohabbat kā qā.eda paḌh kar
na apne jism pe ta.avīz bāñdh kar rakkhe
na Dāñvāñ-Dol huā koī zā.icha paḌh kar
duā bhī miltī rahī mujh ko mere logoñ kī
davā bhī letā rahā us kā fā.eda paḌh kar
milegā mujh ko vahī jo mire nasīb meñ hai
maiñ sar-nigūñ na huā terā martaba paḌh ke
kaḌā hai vaqt to āsāniyāñ bhī ā.eñgī
maiñ nāla-kash na huā koī sāneha paḌh kar
batā rahā huuñ tujhe jo ki tajraboñ se milā
mubāhisa to na kar ik kitābcha paḌh kar
na taKHt-o-taj na daulat ka tazkira paDh kar
jawan hua main mohabbat ka qaeda paDh kar
na apne jism pe tawiz bandh kar rakkhe
na Danwan-Dol hua koi zaicha paDh kar
dua bhi milti rahi mujh ko mere logon ki
dawa bhi leta raha us ka faeda paDh kar
milega mujh ko wahi jo mere nasib mein hai
main sar-nigun na hua tera martaba paDh ke
kaDa hai waqt to aasaniyan bhi aaengi
main nala-kash na hua koi saneha paDh kar
bata raha hun tujhe jo ki tajrabon se mila
mubahisa to na kar ek kitabcha paDh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.