na teri yaad na wo lutf-e-ah-e-nim-shabi
na terī yaad na vo lutf-e-āh-e-nīm-shabī
dil-o-dimāġh hue vaqf-e-ranj-e-be-sababī
tire karam ne kiyā ye bhī ik sitam ham par
ki chashm-e-shauq ne sīkhī na mudd.ā-talabī
ġham-e-nashāt ke māroñ ko kaun samjhā.e
ḳhumār-e-mai se hai baḌh kar surūr-e-tishna-labī
vo ḳhāna-zād-e-bahārāñ hai us ko zebā hai
gulāb-pairahanī gul-ruḳhī-o-ġhuncha-labī
havas meñ ik suḳhan-e-rā.egāñ kī vo bhī gayā
matā'-e-ġhuncha thā jo iztirāb-e-jāñ ba-labī
koī nazar nahīñ shā.ista-e-suḳhan varna
vahī hai chashm-e-fusūñ-gar kī guftugū-talabī
mirā vajūd sahī ek musht-e-ḳhāk magar
hai zarre zarre meñ elān-e-kahkashāñ-nasabī
ḳhirad hijāb-e-haqīqat uThā to de lekin
abhī junūñ ko gavārā nahīñ ye be-adabī
havā-e-zar se huā kam na habs-e-jāñ hargiz
miTī na āb-e-guhar se kisī kī tishna-labī
yaqīñ to kyā mire vahm-o-gumāñ laraz uTThe
nigār-ḳhāna-e-fitrat meñ thī vo bul-ajabī
nigāh-e-yār thī mā.il-ba-dar-guzar lekin
hamīñ rahe na adab-āshnā-e-be-adabī
tamām shahr pe baiThī hai us ke 'ilm kī dhaak
ki boltā hai vo urdu ba-lahja-e-arabī
ḳhudā kā fazl hai aur faiz-e-sāqī-e-shīrāz
ki mere she'r meñ hai kaif-e-bāda-e-inabī
na teri yaad na wo lutf-e-ah-e-nim-shabi
dil-o-dimagh hue waqf-e-ranj-e-be-sababi
tere karam ne kiya ye bhi ek sitam hum par
ki chashm-e-shauq ne sikhi na mudda-talabi
gham-e-nashat ke maron ko kaun samjhae
KHumar-e-mai se hai baDh kar surur-e-tishna-labi
wo KHana-zad-e-bahaaran hai us ko zeba hai
gulab-pairahani gul-ruKHi-o-ghuncha-labi
hawas mein ek suKHan-e-raegan ki wo bhi gaya
mata'-e-ghuncha tha jo iztirab-e-jaan ba-labi
koi nazar nahin shaista-e-suKHan warna
wahi hai chashm-e-fusun-gar ki guftugu-talabi
mera wajud sahi ek musht-e-KHak magar
hai zarre zarre mein elan-e-kahkashan-nasabi
KHirad hijab-e-haqiqat uTha to de lekin
abhi junun ko gawara nahin ye be-adabi
hawa-e-zar se hua kam na habs-e-jaan hargiz
miTi na aab-e-guhar se kisi ki tishna-labi
yaqin to kya mere wahm-o-guman laraz uTThe
nigar-KHana-e-fitrat mein thi wo bul-ajabi
nigah-e-yar thi mail-ba-dar-guzar lekin
hamin rahe na adab-ashna-e-be-adabi
tamam shahr pe baiThi hai us ke 'ilm ki dhak
ki bolta hai wo urdu ba-lahja-e-arabi
KHuda ka fazl hai aur faiz-e-saqi-e-shiraaz
ki mere she'r mein hai kaif-e-baada-e-inabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.