na tha hausla ki karte tere ishq ka iada
na thā hausla ki karte tire ishq kā i.aada
ki firāq ke safar par chale ham the pā-piyāda
tire qurb ke fusūñ kī haiñ hadeñ jo kuchh muqarrar
mirī ḳhvāhishoñ se kam haiñ mirī taab se ziyāda
vahī silsile purāne nahīñ ustuvār hoñge
ki jo toḌ Daale rishte sabhī tū ne bil-irāda
tū ne kar liyā thā va.ada be-sabāt zindagī meñ
nahīñ jāntā thā tū bhī na nibhā sakegā va.ada
na ḳhudā kī thī razā ye ki mirā baneñ muqaddar
vo siyāh gahrī āñkheñ vo jabīñ jo thī kushāda
tū mizāj kī tapish se jo jalā chukā hai dil ko
sabhī jal bujhe haiñ armāñ bachī raakh yā burāda
mire zehn meñ haiñ 'shamsa' mujhe bhūlte vo kaise
kabhī ishq meñ jo tū ne kahe kuchh the harf saada
na tha hausla ki karte tere ishq ka iada
ki firaq ke safar par chale hum the pa-piyaada
tere qurb ke fusun ki hain haden jo kuchh muqarrar
meri KHwahishon se kam hain meri tab se ziyaada
wahi silsile purane nahin ustuwar honge
ki jo toD Dale rishte sabhi tu ne bil-irada
tu ne kar liya tha wada be-sabaat zindagi mein
nahin jaanta tha tu bhi na nibha sakega wada
na KHuda ki thi raza ye ki mera banen muqaddar
wo siyah gahri aankhen wo jabin jo thi kushada
tu mizaj ki tapish se jo jala chuka hai dil ko
sabhi jal bujhe hain arman bachi rakh ya burada
mere zehn mein hain 'shamsa' mujhe bhulte wo kaise
kabhi ishq mein jo tu ne kahe kuchh the harf sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.