na thakta hai na rukta hai ki bhaga ja raha hai
na thaktā hai na ruktā hai ki bhāgā jā rahā hai
ye pahiyā zindagī ka roz chaltā jā rahā hai
hamāre bin tumhārī bhī to ḳhushiyāñ lauT aa.iiñ
tumhāre bin hamārā bhī ab achchhā jā rahā hai
musāfir huuñ nayā be-shak magar bhaTkā nahīñ huuñ
mujhe ma.alūm hai kis or rastā jā rahā hai
vo kis ko chāhtī hai ye kisī ko hai ḳhabar bhī
yā bas yūñhī havā meñ tiir maarā jā rahā hai
ki bas lagtā rahe sab ko ki ham bhī paḌh rahe haiñ
dikhāve ke liye pannoñ ko palTā jā rahā hai
mubārak ho raho ab chain se duniyā ke logo
tumheñ jis se shikāyat thī vo laḌkā jā rahā hai
na thakta hai na rukta hai ki bhaga ja raha hai
ye pahiya zindagi ka roz chalta ja raha hai
hamare bin tumhaari bhi to KHushiyan lauT aain
tumhaare bin hamara bhi ab achchha ja raha hai
musafir hun naya be-shak magar bhaTka nahin hun
mujhe malum hai kis or rasta ja raha hai
wo kis ko chahti hai ye kisi ko hai KHabar bhi
ya bas yunhi hawa mein tir mara ja raha hai
ki bas lagta rahe sab ko ki hum bhi paDh rahe hain
dikhawe ke liye pannon ko palTa ja raha hai
mubarak ho raho ab chain se duniya ke logo
tumhein jis se shikayat thi wo laDka ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.