na thi hamari KHata etiraf kya karte
na thī hamārī ḳhatā e'tirāf kyā karte
the be-gunāh to munsif mu'āf kyā karte
koī na thā jo yahāñ apnā jā.eza letā
har aa.ine se hamīñ gard saaf kyā karte
na guftugū kā salīqa na kaaT lahje meñ
samā'atoñ meñ suḳhanvar shigāf kyā karte
ḳhalā-navard the is daur meñ ham ahl-e-junūñ
hamāre gird bagūle tavāf kyā karte
sipurd-e-tāq the har ghar meñ shāhkār-e-hayāt
hifāzat un kī akele ġhilāf kyā karte
sabhī the ahl-e-nazar ik hisār tak mahdūd
utarte tah meñ to phir inkishāf kyā karte
mirī tarah jinheñ mā'nī kī justujū bhī nahīñ
hisār-e-lafz meñ vo ai'takāf kyā karte
aziyyateñ jinheñ detī hoñ rāhatoñ kī navīd
tire sitam se bhī vo iḳhtilāf kyā karte
vo apnī fikr meñ zinda hai harf harf 'zafar'
harīf-e-fan bhī kuchh us ke ḳhilāf kyā karte
na thi hamari KHata e'tiraf kya karte
the be-gunah to munsif mu'af kya karte
koi na tha jo yahan apna jaeza leta
har aaine se hamin gard saf kya karte
na guftugu ka saliqa na kaT lahje mein
sama'aton mein suKHanwar shigaf kya karte
KHala-naward the is daur mein hum ahl-e-junun
hamare gird bagule tawaf kya karte
sipurd-e-taq the har ghar mein shahkar-e-hayat
hifazat un ki akele ghilaf kya karte
sabhi the ahl-e-nazar ek hisar tak mahdud
utarte tah mein to phir inkishaf kya karte
meri tarah jinhen ma'ni ki justuju bhi nahin
hisar-e-lafz mein wo ai'takaf kya karte
aziyyaten jinhen deti hon rahaton ki nawid
tere sitam se bhi wo iKHtilaf kya karte
wo apni fikr mein zinda hai harf harf 'zafar'
harif-e-fan bhi kuchh us ke KHilaf kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.