na thi hargiz meri parwah dil ko
na thī hargiz mirī parvāh dil ko
milī mujh se na thī tanḳhvāh dil ko
phisal kar sar ab apnā dhun rahā hai
kiyā maiñ ne to thā āgāh dil ko
in āñkhoñ ko to koī bhī dikhā de
dikhā.e kaun lekin raah dil ko
bikhar kar jab huā nākām ḳhud hī
mohabbat kī milī tab thaah dil ko
na hotā dil kā mere she'r ḳhārij
tirī miltī agar islāh dil ko
zamāne ne mujhe bhaTkā diyā thā
kiyā kis ne magar gumrāh dil ko
sazā mere gunāhoñ kī mujhe do
na do lekin sazā lillāh dil ko
na thi hargiz meri parwah dil ko
mili mujh se na thi tanKHwah dil ko
phisal kar sar ab apna dhun raha hai
kiya main ne to tha aagah dil ko
in aankhon ko to koi bhi dikha de
dikhae kaun lekin rah dil ko
bikhar kar jab hua nakaam KHud hi
mohabbat ki mili tab thah dil ko
na hota dil ka mere she'r KHarij
teri milti agar islah dil ko
zamane ne mujhe bhaTka diya tha
kiya kis ne magar gumrah dil ko
saza mere gunahon ki mujhe do
na do lekin saza lillah dil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.