na to justuju-e-dawa-e-dil na to chaaragar ki talash hai
na to justuju-e-dawa-e-dil na to chaaragar ki talash hai
Shafeeq Barelvi
MORE BYShafeeq Barelvi
na to justujū-e-davā-e-dil na to chārāgar kī talāsh hai
jo mazāq-e-ġham se ho āshnā mujhe us nazar kī talāsh hai
maiñ huuñ rāh-rau maiñ huuñ kārvāñ maiñ huuñ rāhbar maiñ huuñ rāhzan
mire pech-o-ḳham jo samajh sake mujhe us ḳhizar kī talāsh hai
maiñ ayaañ bhī huuñ maiñ nihāñ bhī huuñ maiñ kahāñ nahīñ maiñ kahīñ nahīñ
jo batā.e mujh ko mirā patā mujhe us ḳhabar kī talāsh hai
hai ḳhirad se bhī mujhe vāsta haiñ junūñ se bhī mujhe nisbateñ
jo imām-e-mastī-o-hosh ho usī dīda-var kī talāsh hai
maiñ asīr-e-zauq-e-ḳhirām huuñ kabhī sub.h huuñ kabhī shaam huuñ
jahāñ manziloñ kā guzar na ho usī rahguzar kī talāsh hai
haiñ zamīñ pe mere qadam magar mirī āsmān pe hai nazar
maiñ huuñ tā.ir-e-falak-āshiyāñ mujhe bāl-o-par kī talāsh hai
milī dair-o-ka.aba kī sar-zamīñ ye jabīñ kahīñ bhī jhukī nahīñ
maiñ 'shafīq' tujh ko batā.ūñ kyā mujhe kis ke dar kī talāsh hai
na to justuju-e-dawa-e-dil na to chaaragar ki talash hai
jo mazaq-e-gham se ho aashna mujhe us nazar ki talash hai
main hun rah-rau main hun karwan main hun rahbar main hun rahzan
mere pech-o-KHam jo samajh sake mujhe us KHizar ki talash hai
main ayan bhi hun main nihan bhi hun main kahan nahin main kahin nahin
jo batae mujh ko mera pata mujhe us KHabar ki talash hai
hai KHirad se bhi mujhe wasta hain junun se bhi mujhe nisbaten
jo imam-e-masti-o-hosh ho usi dida-war ki talash hai
main asir-e-zauq-e-KHiram hun kabhi subh hun kabhi sham hun
jahan manzilon ka guzar na ho usi rahguzar ki talash hai
hain zamin pe mere qadam magar meri aasman pe hai nazar
main hun tair-e-falak-ashiyan mujhe baal-o-par ki talash hai
mili dair-o-kaba ki sar-zamin ye jabin kahin bhi jhuki nahin
main 'shafiq' tujh ko bataun kya mujhe kis ke dar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.