na to mai se na jam se KHum se
na to mai se na jaam se ḳhum se
ban ga.ī baat ik tasādum se
tum mujhe bhī kabhī sadā doge
ye tavaqqo na thī kabhī tum se
kuchh na kuchh daad mil ga.ī us ko
paḌhtā hai jo ġhazal tarannum se
marne vaalā bhī bach gayā āḳhir
aap ke sirf ik tabassum se
kyā tamanna kare vo sāhil kī
kheltā hai jo ḳhud talātum se
ishq ke zahr kā jo aadī ho
ḳhauf kyā us ko zahr-e-kazh-dum se
jin ko hāsil thiiñ dā.imī ḳhushiyāñ
kis liye aaj haiñ vo gum-sum se
maut se pahle mar chuke kitne
ḳhauf se yā kisī tavahhum se
ġharq beḌe hue haiñ bātil ke
azm-e-‘ḳhākī’ ke josh-e-qulzum se
na to mai se na jam se KHum se
ban gai baat ek tasadum se
tum mujhe bhi kabhi sada doge
ye tawaqqo na thi kabhi tum se
kuchh na kuchh dad mil gai us ko
paDhta hai jo ghazal tarannum se
marne wala bhi bach gaya aaKHir
aap ke sirf ek tabassum se
kya tamanna kare wo sahil ki
khelta hai jo KHud talatum se
ishq ke zahr ka jo aadi ho
KHauf kya us ko zahr-e-kazh-dum se
jin ko hasil thin daimi KHushiyan
kis liye aaj hain wo gum-sum se
maut se pahle mar chuke kitne
KHauf se ya kisi tawahhum se
gharq beDe hue hain baatil ke
azm-e-‘KHaki’ ke josh-e-qulzum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.