na to piste hi se raghbat hai na baadam se shauq
na to piste hi se raghbat hai na baadam se shauq
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
na to piste hī se raġhbat hai na bādām se shauq
hai magar chashm-o-lab-o-sāqī-o-gulfām se shauq
jo giraftār haiñ us zulf-e-musalsal ke sunā
na unheñ kaam qafas se hai na kuchh daam se shauq
kaun sā hovegā kambaḳht vo āshiq jis ko
hogā furqat meñ dil-ārām ke ārām se shauq
misl-e-ā.īna takegā tirī sūrat ko mudām
ye to jaane kā nahīñ is dil-e-nākām se shauq
phaaḌ kar ḳhat ko vo kahne lage qāsid se mujhe
abe suntā hai nahīñ nāma-o-paiġhām se shauq
is tavaqqo pe ki shāyad vo sahar ko nikle
ghar se bāhar liye phirtā hai sar-e-shām se shauq
zulf us ruḳh pe chhuTī rahtī hai hairān hai aql
kyoñ na hairān ho hindū ko aur islām se shauq
phirnā us kūche meñ yā palkoñ se jhāḌū denī
raat din ham ko hai ai 'aish' isī kaam se shauq
na to piste hi se raghbat hai na baadam se shauq
hai magar chashm-o-lab-o-saqi-o-gulfam se shauq
jo giraftar hain us zulf-e-musalsal ke suna
na unhen kaam qafas se hai na kuchh dam se shauq
kaun sa howega kambaKHt wo aashiq jis ko
hoga furqat mein dil-aram ke aaram se shauq
misl-e-aina takega teri surat ko mudam
ye to jaane ka nahin is dil-e-nakaam se shauq
phaD kar KHat ko wo kahne lage qasid se mujhe
abe sunta hai nahin nama-o-paigham se shauq
is tawaqqo pe ki shayad wo sahar ko nikle
ghar se bahar liye phirta hai sar-e-sham se shauq
zulf us ruKH pe chhuTi rahti hai hairan hai aql
kyon na hairan ho hindu ko aur islam se shauq
phirna us kuche mein ya palkon se jhaDu deni
raat din hum ko hai ai 'aish' isi kaam se shauq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.