na ulfat na yaad-e-KHuda le gae
na ulfat na yād-e-ḳhudā le ga.e
na jaane vo duniyā se kyā le ga.e
girī barq kyā jaane kis shāḳh par
mirā āshiyāñ vo uThā le ga.e
maiñ un ke talattuf kā joyā rahā
duā lene vaale duā le ga.e
na āh-o-fuġhāñ par thā qaabū mirā
na aañsū hī mujh se sañbhāle ga.e
jo karte rahe pyaar kāñToñ se bhī
vo rāh-e-vafā ko sajā le ga.e
ziyārat ko jitne bhī aa.e the log
diloñ meñ vo tujh ko biThā le ga.e
na kuchh saath laa.e the duniyā meñ ham
na pūchho ki ham saath kyā le ga.e
safar zindagī kā na kaaTe kaTe
na manzil kā bhī ham pata le ga.e
pata un kā miltā nahīñ dahr meñ
churā kar jo dil aap kā le ga.e
supurd-e-ḳhudā ḳhud ko kar ke 'rafīq'
qazā se vo ḳhud ko bachā le ga.e
na ulfat na yaad-e-KHuda le gae
na jaane wo duniya se kya le gae
giri barq kya jaane kis shaKH par
mera aashiyan wo uTha le gae
main un ke talattuf ka joya raha
dua lene wale dua le gae
na aah-o-fughan par tha qabu mera
na aansu hi mujh se sanbhaale gae
jo karte rahe pyar kanTon se bhi
wo rah-e-wafa ko saja le gae
ziyarat ko jitne bhi aae the log
dilon mein wo tujh ko biTha le gae
na kuchh sath lae the duniya mein hum
na puchho ki hum sath kya le gae
safar zindagi ka na kaTe kaTe
na manzil ka bhi hum pata le gae
pata un ka milta nahin dahr mein
chura kar jo dil aap ka le gae
supurd-e-KHuda KHud ko kar ke 'rafiq'
qaza se wo KHud ko bacha le gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.