na umid-o-yas ki kashmakash na gham-e-jahan ka KHayal hai
na umid-o-yas ki kashmakash na gham-e-jahan ka KHayal hai
Ram Krishn Muztar
MORE BYRam Krishn Muztar
na umīd-o-yās kī kashmakash na ġham-e-jahāñ kā ḳhayāl hai
jo mujhe miTā ke chalā gayā usī mehrbāñ kā ḳhayāl hai
ye havā-e-tund ye āñdhiyāñ ye fazā-e-tīra ye bijliyāñ
faqat āshiyāñ hī kā ġham nahīñ mujhe gulsitāñ kā ḳhayāl hai
yahī fikr hai mujhe raat din mirā haal un pe 'ayāñ na ho
kabhī un ke husn kā paas hai kabhī rāz-dāñ kā ḳhayāl hai
vahī sarfaroshī kī aarzū vahī jaan dene kī hasrateñ
ki balā-kashoñ ko shikast-e-nāz-e-sitamgarāñ kā ḳhayāl hai
mire lab pe 'muztar'-e-ġham-navā kisī bevafā kā nahīñ gila
mirī har nazar ko nazākat-e-dil-e-dostāñ kā ḳhayāl hai
na umid-o-yas ki kashmakash na gham-e-jahan ka KHayal hai
jo mujhe miTa ke chala gaya usi mehrban ka KHayal hai
ye hawa-e-tund ye aandhiyan ye faza-e-tira ye bijliyan
faqat aashiyan hi ka gham nahin mujhe gulsitan ka KHayal hai
yahi fikr hai mujhe raat din mera haal un pe 'ayan na ho
kabhi un ke husn ka pas hai kabhi raaz-dan ka KHayal hai
wahi sarfaroshi ki aarzu wahi jaan dene ki hasraten
ki bala-kashon ko shikast-e-naz-e-sitamgaran ka KHayal hai
mere lab pe 'muztar'-e-gham-nawa kisi bewafa ka nahin gila
meri har nazar ko nazakat-e-dil-e-dostan ka KHayal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.