na unki tarjumani se na un ko darmiyan kar ke
na un kī tarjumānī se na un ko darmiyāñ kar ke
diloñ kā faisla hotā hai āñkhoñ ko zabāñ kar ke
hamāre ġham hamāre dil kī pākīza amānat haiñ
ḳhayānat ham se ho saktī nahīñ āh-o-fuġhāñ kar ke
nigāhoñ meñ samā.e dil meñ utre ruuh tak pahuñche
ishāra-bāziyāñ dil-reziyāñ sargoshiyāñ kar ke
tum apnī saltanat pe is qadar nāzāñ ho aur ham ne
bhulā diiñ shāhiyāñ sultāniyāñ sardāriyāñ kar ke
vo kho baiThe ba-āsānī vaqār-e-zindagī apnā
himāqat-ḳheziyāñ be-aqliyāñ nādāniyāñ kar ke
ḳhudā jaane mire ahbāb kī kyā maqsadiyyat hai
ye fitna-ḳheziyāñ bezāriyāñ be-mehriyāñ kar ke
jahāñ ko phir usī husn-e-tilismāna kī hājat hai
dikhā de ek pal meñ jo ḳhirad kī dhajjiyāñ kar ke
na un ki tarjumani se na un ko darmiyan kar ke
dilon ka faisla hota hai aankhon ko zaban kar ke
hamare gham hamare dil ki pakiza amanat hain
KHayanat hum se ho sakti nahin aah-o-fughan kar ke
nigahon mein samae dil mein utre ruh tak pahunche
ishaara-baziyan dil-reziyan sargoshiyan kar ke
tum apni saltanat pe is qadar nazan ho aur hum ne
bhula din shahiyan sultaniyan sardariyan kar ke
wo kho baiThe ba-asani waqar-e-zindagi apna
himaqat-KHeziyan be-aqliyan nadaniyan kar ke
KHuda jaane mere ahbab ki kya maqsadiyyat hai
ye fitna-KHeziyan bezariyan be-mehriyan kar ke
jahan ko phir usi husn-e-tilismana ki hajat hai
dikha de ek pal mein jo KHirad ki dhajjiyan kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.